Monday, August 30, 2010

Aag suraj main hoti hai

Koi ye kaise bataye ke wo tanha kyon hai?
Wo jo apna tha wahi aur kisi ka kyon hai?
Ye hi dunia hai to aakhir eisi ye dunia kyon hai?
Yahi hota hai to aakhir yahi hota kyon hai?


Dil – E – Barbad se nikla nahi ab tak koi,
Ek lute ghar pe diya karta hai dastak koi,
Aas jo toot gai phir se bandhata kyon hai?
Koi ye kaise bataye ke wo tanha kyon hai?


Tum assaratt ka kaho ya ise gam ka rishta,
Kahte hai pyaar ka rishta hai janam ka rishta,
Hai janam ka jo ye rishta to badalta kyon hai?
Koi ye kaise bataye ke wo tanha kyon hai?


Ek jara hath bada de to pakad le daman,
Uske sine mein sama jaaye hamari dhadkan,
Itni kurbat hai to phasala itna kyon hai?
Koi ye kaise bataye ke wo tanha kyon hai?


Koi ye kaise bataye ke wo tanha kyon hai?
Wo jo apna tha wahi aur kisi ka kyon hai?

Ye hi dunia hai to aakhir eisi ye dunia kyon hai?

Yahi hota hai to aakhir yahi hota kyon hai


Na Sathi hai koi,
Na Humsafar hai koi,
Na Hum kisi ke na Humara hai koi,
Par aapko dekh kar keh sakte he ki,
Dost to Humara bhi hai koi…..!


Dosti koi Farz nahin…Ek Rishta hain yeh.
Raishtey jo Khoon se nahin.. Dil se bandeh.
Dil jo kuch pal ko milen..Milen Jindagi bhar ke liyeh.
Ek Jindagi kabhi poori nahin hoti..Aziz dost ke liyeh.


E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.


Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaaye
Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaaye.


Aag suraj main hoti hai ,
Jalna dharti ko padta hai
 mohabbat aankhen karti hain ,
tadapna dil ko padta hai


Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai

No comments:

Post a Comment