Monday, August 30, 2010

Dard ko bi ab dard hone laga hai.

Dard ko bi ab dard hone laga hai..
dard bhi apna zakhm done laga hai..
Dard ab hame dard nahi lagtha..
kyunki, Dard bhi hame chookar Rone laga hai!!


karoge yaad to har baat aayegi
suhane waqt ki har mauj tahar jayegi
talash karoge hamse behatar dost koi
nazar door tak jayegi aur laut aayegi


Merey wahm-o- guman se bhi zyada toot jata hai.
Ye dil apni hadoon mein reh kar itna toot jata hai.


Mein roaoon to daro dewar mujh pey hansney lagtey hain.
Hansoon to merey andar janey kya kya toot jata hai.


Mein jis lamhey ki khawahish mein safar karta hoon sadyoon sey.
Kahin paoon taley aa kar who lamha toot jata hai.


Merey khwaboon ki basti sey janazey uthtey jatey hain.
Meri aankhein jisey choo lein who sapna toot jata hai.


Najaney kitni mudat se hai dil mein ye amal jari
Zara si thees lagti hai zara sa toot jata hai


Dil e nadan hamari to namo hi na muqamal thi
To herat kya jo bantey hi irada toot jata hai


Muqadar mein merey sagar shikast o rekhat itni hai
Mein jis ko apna keh doon who sitara toot jata hai……………..


Aaj Pehli Bar Yeh Mehsoos Huwa Ke Mein Is Duniya Mein Tanha Reh Gaya HonAaj Pehli Bar Yeh Mehsoos Huwa Ke Mein Is Duniya Mein Tanha Reh Gaya Hon,Jo Tha Hi Nahi Us Ke Bageir Mein Tanha Reh Gaya Hon,


Woh Chup Chup Ker Mere Liye Kitabe Ikhata Kiya Kerti Thi,
Aaj Mein Apni Hi Kitab Mein Tanha Reh Gaya Hon,


Kabhi In Raston Mein Se Guzar Ker Us ko Ghar Chor Aata Tha.
Aaj Mein Un Hi Raston Mein Tanha Reh Gaya Hon,


Kabhi Woh Mujh Se Isharon Se Batein Kiya Kerti Thi,
Hansta Hoon Aaj Mein Apne Hi Isharon Mein Tanha Reh Gaya Hon,


Yaqeen Hai Faraz Ko Ke Kabhi To Woh Laut Aayegi,
Rota Hon Faqat Us Ke Bageir Mein Tanha Reh Gaya Hon.


Ulfat Ka Jab Kisi Ne Liya Naam Ro Pade
Apni Wafa Ka Soch Ke Anjaam Ro Pade


Har Shaam Ye Sawaal Mohabbat Se Kya Mila
Har Shaam Ye Jawwab Ke Har Shaam Ro Pade


Raah-e-wafa Mein Humko Khushi Ki Talaash Thee
Do Gaam Hi Chale The Ke Har Gaam Ro Pade


Rona Naseeb Mein Hai To Auron Se Kya Gila
Apne Hi Sar Liya Koi Ilzaam Ro Pade


Jaatey Jaatey Kya Kya Dey Gaya Koi
Aansoo Bahaney Ka Bahaana Dey Gaya Koi


Koi Maqsad Na Tha Mairi Zindagi Ka
Jaatey Jaatey Apni Talaash Ka Aik Maqsad Dey Gaya Koi


Khuda Naraz Tha Ke Koi Ilteja Na Karta Main Uss Say
Jaatey Jaatey Khuda Ko Manaaney Ka Aik Maqsad Dey Gaya Koi


Likhney Parrhney Ka Koi Shoq Na Tha Mujh Ko
Terey Naam Ko Likhna Terey Naam Ko Perrhna,
Jaatey Jaatey Ye Shoq Bhi Sikha Gaya Koi….

No comments:

Post a Comment