Friday, May 7, 2010

Aaj kuch kami hai tere bagair

Aaj kuch kami hai tere bagair,
Na rang hai na roshni hai tere bagair,
Waqt apni raftaar se chal raha hai,
Bas dhadkan thami hai tere bagair.

Chehre ki muskaan ban jaata hai koi,
Dil ki dhadkan ban jaata hai koi,
Phir kaise jiyenge zindagi unke bin,
Jab zindagi jeene ki vajah ban jaata hai koi.

Badalna aata nahi humko mausam ki tarah,
har roop me unka intzar karte hai,
na samet sakenge jise qayamat tak,
kasam khuda ki unhe itna pyar karte hai.

Dil k kareeb aa k vo jab duur ho gaye,
Saare haseen khwaab chur-chur ho gaye,
Humne wafa nibhaayi to badnamiyaan mili,
Aur jo log bewafa the vo mashhoor ho gaye

Aankho ke samne hardam aapko paya hai,
Dil me bhi aapko basaya hai,
Aap ke bin hum jiyenge kaise,
Bhala jaan bina koi jee paya hai.

Bhool jaane ka hosla na hoga,
Duur reh kar bhi dil aap se judaa na hoga,
Aap se milkar kisi aur se kya mile,
Koi aap ke jaisa dusra na hoga!

Humein roz aati hain hichkiyaan,
Shaayad kuch log humara khayaal karte hai,
Khuda rakhe salaamat unhe,
Jo apna kaam chod humein yaad karte hain.

Khubiyaan itni to nahi hum me,
Ki tumhe har pal yaad aayenge,
Par itna aeitbaar hai hume khud pe,
Ki aap kabhi hume bhool bhi na paayenge

Humne maanga tha saath unka,
Vo judaai ka gham de gaye,
Hum yaadon ke sahaare jee lete,
Vo bhool jaane ki kasam de gaye.

Aapki yaad me peena shuru kiya,
itna piya itna piya ki pita hi raha aur pita gaya,
Kya karein...Bada Thums Up hai--
Saala khatam hi nahi hota

Jaam tutne ka bahaana na kar,
Hum to teri aankhon se pee lenge,
Tu mat aa lekin aane ka vaada to kar,
Hum tere intezaar me hi jee lenge.

Ajnabi hote hue bhi dosti ka rishta nibhaate hai aap,
Na jaane kyun dil ko itna lubhaate hai aap,
Ye kaisa karishma hai aapka,
Jo humko itna yaad aate hain aap.

No comments:

Post a Comment