Wednesday, May 5, 2010

Waqt Guzra Zakham Bharte Gaye

Waqt Guzra Zakham Bharte Gaye,
Tume Bhulane Ki Kosish Hum Karte Gaye,
Itna Aasan Na tha Tume Bhool Pana,
Par Zindagi se Samjhota Karte Gaye.


kisi khusnasib ki takdir ho aap,
khwabon ki sachi tasvir ho aap,
aur kya kahe aapaki shaan me,
mere hathon me DOSTI ki lakeer ho aap...!!!


Tere Bina hum jeena bhool jaate hain…
Zakhmon ko seena bhool jate hain..
Tu zindagi main sabse azeez hai hamain..
Tujhse har bar yeh kehna bhool jaate hain.


Dil me aapki har baat Rahegi..
Jagah chhoti he magar Aabaad rahegi
Chahe hum bhulaye zamane Ko..
Aapki ye pyari si dosti Hamesha yaad raheg....


Waade bhi dost ne kya khub nibhaye,
Zakham muft mein aur dard tohfe me bhijwaye,
Is se badhkar wafa ki misaal kya hogi,
Maut se pehle hi dost kafan le aye


Aap se khafa hokar hum jayenge kahan,
Aap sa sathi hum payenge kahan.
Dil ko to kaise bhi samjha lenge hum,
Lekin ANKHON KE AANSU chupayege kahan


Ek Lamhe Me Unhone Zindagi Sawar Di,
Doosre Lamhe Me Unhone Zindagi Ujad Di,
Kusoor Unka Nahi Hamara Hai,
Un Do Lamho Mein Hamne Zindagi Guzar Di


Kehte hain har baat kisi ko kahi nahi jati,
apno ko bhi batai nahi jati,
per dost to dil ka AAINA hota he,
or AAINE se surat chhupai nahi jati


Mujse Na Puch Q Ankhe Jhuka Li Mene
Teri Tasvir Tujhse Q chupa Li Mene
Jis pe LikhaTha Tu meri Taqdir Menhi
ApneHatho K WoLakir Mita Li Mene


Hum yaad rahe to theek warna bhula dena,
Huyi ho koi khata humse to saza dena,
Waise to hum hai Khaali kaagaz ki tarah,
Likha jaye to theek warna jala dena


Aankho ke samne hardam aapko paya hai,
Dil me bhi aapko basaya hai,
Aap ke bin hum jiyenge kaise,
Bhala jaan bina koi jee paya hai.


Bhool jaane ka hosla na hoga,
Duur rehkar bhi tu judaa na hoga,
Tujhse milke kisi aur se kya mile aye dost,
Koi tera jaisa doosra na hoga.

No comments:

Post a Comment