Saturday, January 2, 2016

Superb Poem...!!

๐Ÿ‘ถ๐ŸปEk bachpan ka
zamana tha,

๐Ÿ‘ถ๐Ÿปjisme khushiyon ka
khazana tha;

๐Ÿ‘ถ๐Ÿปchahat chand ko
paane ki thi,

๐Ÿ‘ถ๐Ÿปpar dil titli ka
deewana tha.

๐Ÿ‘ถ๐ŸปKhabar na thi
kuch subah ki,

๐Ÿ‘ถ๐Ÿปna shaam ka
thikana tha;

๐Ÿ‘ถ๐Ÿปthak haarke aana
school se, par khelne bhi jaana tha.

๐Ÿ‘ถ๐ŸปMaa ki kahani thi,
pariyon ka fasana tha;
barish mein kagaz ki naav thi, har mausam suhana tha.

๐Ÿ‘ถ๐ŸปHar khel mein
saathi the,

๐Ÿ‘ถ๐Ÿปhar rishta nibhana tha;

๐Ÿ‘ถ๐Ÿปgum ki zuban na hoti thi, na zakhmon ka paimana tha.

๐Ÿ‘ถ๐ŸปRone ki wajah na thi,
na hansne ka bahana tha;

๐Ÿ‘ถ๐Ÿปkyon ho gaye hum itne bade, isse achha to
woh bachpan ka zamana tha.........

No comments:

Post a Comment