Saturday, January 9, 2016

 Zindgi per kitab likhunga…
Us mai sarey hisab likhunga….

Pyar ko waqt guzari lik kar…..
Chahton ko azaab likhunga..,

Hui barbad m0habbat kaisey….
Kaisey bikhry hain khuwab likhunga…..

Apni khwahish ka tazkra kar k….
Naam tera jawab likhunga….

Teri ankhain sharab ki manind…..
Tera chehra gulaab likhunga….

Mai tuj se judai ka sabab….
Apni kismat kharab likhunga…


 Kia hai jo pyar to chupate kion ho
Mehfil mein mera naam dohrate kion ho
Jal rahay ho mere pyar ki bhatti mein
Phir hijar ka dard cupate kion ho

Khuwabon mein bhi agar iqrar nahi
To khuwaboon mein phir aate kion ho
Nazrain mila ke sharma jate ho jo
Nazrain hum se milaate hi kion ho

Maan lo! ke dil hamain de baithay ho
Aag ko ab baraf batate kion ho
Chalo keh do tumhain se pyar nahi
yeh kehne se phir ghabratay kion ho

No comments:

Post a Comment