(1)
Mohabbat mujhe thi usi se..Sanam.
Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha ..
Maut bhi meri Chahat ko rok na saki..
Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha.
(2)
Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi achcha sa phool hota to mali se
mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du…
(3)
Aapki Muskurahat ne hame behosh kar
diya,
Aapki Muskurahat ne hame behosh kar
diya,
Hum Hosh me aane hi waale the,
ki Aapne fir se muskura diya.
(4)
Bina dard ke ansu bahaye nahi jate,
Bina pyar ke rishte nibhaye nahi jate,
E dost 1 baat yaad rakhna bina DIL diye
DIL paye bhi nahi jate.
(5)
Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki,
Hum to behosh youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki.
(6)
Badi Muddat se chaha hai tujhe,
bade Duaon se paya hai tujhe,
tujhe bhulane ki socho bhi to kaise,
Kismat ki Lakiron se churaya hai tujhe!
(7)
ek nazar teri kaher dhati hai,
ek teri chal lehrati hai,
dua dete hain hum jab tu aati jati hai,
girten hain log aur tu hasti jati hai…
(8)
Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka
shehed
Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehboob uski
sarhad.
(9)
Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan,
Na Karta Kisi Ko Yun Ye Pareshaan,
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Me,
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Sake Bayaan.
(10)
Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko
Parta Hai Qusur Aankhon Ka Hota Hai,
Tarapna Dil Ko Parta Hai.
(11)
Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakat kar
leta hai,
Mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta
hai
(12)
Kismet se apni sabko shikayat kyu hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyu hai,
Kitne khade hai raho pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai.
(13)
Chand ki raton mein sara jahan sota hai,
Lekin kisi ki yadoon mein koi badnaseeb
rota hai,
Khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare,
Agar kare to kisi ko juda na kare
(14)
Khudaa jab husn deta hai nazaakat aaa hi
jati hai,
Kadam chun chun kar rakhti ho…..
Phir bhi kamar balkha hi jaati hai…..
(15)
Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi
karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte
(16)
Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu
(17)
Ham tere dil mein rahenge ek yaad bankar,
Tere lab pa khilenge muskaan bankar,
Kabhi hamein apne se juda na samajhna,
Hum tere saath challenge aasmaan bankar
(18)
Kuch nasha to aapki baat ka hai
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai
Hame aap yuhi sharabi na kahiye,
Yeh dil par asar to aapse mulaqat ka hai
(19)
Dil se tumhe kaise mita de,
Hum tumhe kaise bhoola de.
Ji to chahata hai duniya chor de,
Ya phir judai dene wale in duniya walo ko
phod de.
(20)
Yeh mat pucho tum bin hum kya kya khote
rahe,
Tumhari yaadon mein hum roz kitne rote
rahe,
Na din gujre hai na raatein,
Bas kuch bechain se hum hote rahe!
(21)
Tumhari lovely aankho ne,
Hame aise attract kiya,
Ke sabko neglect karke,
Tumhe hi select kiya.
(22)
Na khuda dil banata na kisise pyar hota,
Na kisiki yaad ati na kisika intazar hota.
Dil diya hai ise sambhal ke rakhna,
Shishe se bana hai pathar se dur rakhna!
(23)
Agar hum na hote to ghazal kaun kehta,
Aap ke chehre ko kamal ko kehta,
Yeh to karishma hai mohabbat ka,
Varna pathro ko tajmahal kaun kehta
(24)
Chaho to dil se hamko mitta dena
Chaho to humko bhula dena
Par Yeh wada karo ki aaye jo kabhi yaad
hamari
To rona nahi Bus muskura dena…
(25)
Tarasti nazaron ki pyas ho tum,
Tadapte dil ki aas ho tum,
Bujti zindagi ki sas ho tum,
Phir kaise na kahu?.. kuch khas ho tum.
(26)
Aankhon Me Armaan Diya Karte Hai,
Hum Sabki Neend Chura Liya Karte Hai,
Ab Se Jab Jab Aapki Palkay Jhapkeygi…..
samaj Lena Tab Tab Hum Aapko Yaad kiya
karte Hai…..!
(27)
Sabne kaha ishq dard hai,
Humne kaha ye dard Kabul hai,
Sabne kaha is dard ke saath ji nahi paoge,
Humne kaha is dard ke saath marna Kabul
hai
(28)
Kaash tum mujhe ek khat likh dete,
mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete,
tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki,
nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete.
(29)
Raat hogi to chand duhai dega,
Khawabon mein aapko woh chehra dikhai
dega,
Ye mohabbat hai zara sochke karna,
Ek aansoo bhi gira to sunai dega.
(30)
Ishq wale ankho ki baat samajh lete hai,
Sapno me mil jaye to mulakat samajh lete
hai,
rota to aasma bhi hai Pyaar k liye,
par log use barsat samajh lete hai.
(31)
Chehre pe haseen chaa jati hai
Aankhon main suroor aaa jata hai
Jab tum mujhe apna kahte ho
Apne pe ghuroor aa jata hai
(32)
Khoob aati hai jab
Yaad teri bahot sataati hai,
Dhoop main,chaanw main, ghataao.n
mai.n,
Teri soorat ubhar K aati hai
(33)
Taare aasman me hi chamkte hai,
Badal itne dur hai, phir bhi baraste hai,
Hum bhi kitne ajib hai,Tum Dil me rehte
ho,
aur hum tumse milne ko taraste hai
(34)
Aasman se uncha koi nahi,
Sagar se gahra koi nahi,
Yun to mujhko sabhi Pyare hai,
par aapse Pyara koi nahi
(35)
Aaj us khuda ki shararat samajh me aai,
is dharti par aapki maujudgi samajh aai,
Aapko is dharti par bhejna us khuda ka
bahana tha,
Kyo ki hamare lie aapko aana hi tha.
(36)
Kismat me jiski aap, use jindgi se kya
chaahiye,
Dhadkan me jinki aap, use dunia se kya
chaahiye,
Hum to jite hai aap k liye, warna in
saanson se kya chaahiye.
(37)
Kash Dil ki awaz me itna asar ho jay,
Hum apko yaad karen aur apko khabar ho
jay,
Aaj kuda se itni hi dua hai, aap jo bhi
chaho vo haqiqat ho jay.
(38)
Kushbu tere Pyar ki mujhe Mahka jati hai,
teri har baat mujhe bahka jati hai,
Saansen to bahut der leti hai aane jane me,
Har saans k pahle mujhe teri yaad aati hai.
(39)
Paani ko patthar na maro use bhi koi pita
hai,
Jina hai to muskurakar jiyo, tumhe dekhkar
koi aur bhi jita hai.
(40)
Kisi k Dhadkte Dil k pichhe koi baat hote
hai,
Kisi k udas Dil k piche koi yaad hoti hai,
Aap ko pata ho ya na ho,
aap k khushi k liye kahin roz fariyad hoti
hai.
(41)
jaan hai hume jaan se pyari,
Jaan k liye chhod du dunia sari
Jaan k liye chhod du rasme sari,
ab tumse kya chupana,
tum hi to ho jaan hamari.
(42)
Tu kya jane kya hai tanhai,
is tute hue Dil se puch kya hai judai,
Bewfai ka ilzam na de zalim,
is waqt se puch kis waqt teri yaad nahi aai.
(43)
Yuhin hi sapno se Dil ko lagaya karo,
Kisi k khwaabon me aya jaya karo,
Jab bhi Dil kahe ki koi tumhe bhi manaye,
Bas hame yaad kar k ruth jaya karo.
(44)
Maine khuda se ek dua mangi,
dua me apni maut mangi,
khuda ne kaha maut to tujhe de dun,
par uska kya jisne har dua me teri jindgi
mangi.
(45)
Karte nahi izhar
phir kyun karte ho tum pyar?
nazron se bate bahut hui
ab lab se karo ikrar…
(46)
Suna hai waqt ke saath halat badal jate
hain
Insan badal jate hain, jazbat badal jate
hain
Par tum na badloge, ye aitbar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon
(47)
Jaam pe jaam peene se kya fayeda,
Raat guzri to utar jayegi,
Kisi ki aankhon se peeyo khuda ki kasam,
Umr saari nashe mein guzar jayegi.
(48)
Woh Zindagi hi kya jisme Mohabbat nahi,
Woh Mohabbat hi kya jisme Yaadein nahi,
Woh Yaadein kya jisme Tum nahi,
Aur woh Tum hi kya jiske saath Hum nahi.
(49)
Humne socha tha ki shayad, hum hi chahte
hai tumko,
par tumhe chahne wala to kafila nikla,
Dil ne kaha shikayat kar khuda se,
par khuda bhi tera chahne wala nikla.
(50)
Jab jab aapse milne ki umeed nazar aayi…
mere paav mein zanjir nazar aayi..
gir pade aansu aankh se…
aur har ek aansu mein aapki taswir nazar
aayi.
(51)
Dil ke rishtey bhi ajeeb hote hai..
duur reh kar bhi kareeb hote hai…
jo log aapko roz dekhte hai..
woh log kitne khushnaseeb hote hai..
(52)
Chehre pe haseen chha jati hai,
Aankhon main suroor aaa jata hai,
Jab tum mujhe apna kahte ho,
Apne pe ghuroor aa jata hai.
(53)
Zindagi jaise ek saza si ho gaye hai,
gam ke sagar me is kadar kho gayi hai,
tum aajao wapis yeh gujarish hai meri….
shayaad mujhe tumari aadat si hogayi hai.
(54)
Pani ka ek katra aankh se gira abhi abhi..
kya tum ne mujko yaad kiya abhi abhi..
tujh se mile zamana hua magar…
yun laga koi mujse mil k gaya abhi abhi..