Sunday, January 11, 2015

HA SAHI SUNA HAI

bohot hi yad karta hu
Ki jb bhi sham dhalti he
Akelepan ka ik suraj
Kahi badal me chipta he
Bikhar jata hu jab us pal
Tumhe hi yad karta hu
Bohot hi yad karta hu

Aur fir jab rat hoti hai
Har ek insan sota hai
Me tb tanhai me uth kar
Andheron se ulajhta hu
Tumhe hi yad karta hu
Bohot hi yad karta hu

Aur fir se ek naya suraj
Subah se sham hoto he
Kahi se door kuch panchi
Gamon ke geet gate hain
Tumhara tazkira karke
Mujhe bas wo satate hai
Or muj se ye b kahte hain
Suno ! Ab lot jao na
Mai us pal toot ke jana
Tumhe hi yad karta hu
Boho hi yad karta hu

Or fir se raat ka aalam
Sitare jagmagate hain
Tumari parchaiee bn karke
Bohot mujh ko rulate hain
Me us pal apni ankho me
Tumhe aabad karta hu

SUNO TUM YAAD AATE HO
Bohot hi yad karta hu.....!

No comments:

Post a Comment