Tuesday, January 27, 2015

 Kabhi ankahi baaton ki ada hai Dosti,
Kabhi Gam ki dawa hai Dosti,
Kami hai Pujne walon ki,
Warna zameen par khuda hai DOSTI.




 Hansi ke peeche hazaaron aansoo chhupate chale
Dil main ghum ka dariya sambhaalte huey
Na koi raasta, Na koi manzil
Hogaya kitna paraya apna hi dil




 Kya hoon main aur kya samajhte hai,
Sab raaz nahi hote batane wale,
Kabhi tanhaiyo mein aakar dekhna,
Kaise rote hai sabko hasane wale.




 Zindagi hamesha kuchh naya dikhayegi
Kabhi hasengi to kabhi rulayegi
Is par bharosa mat karna
Ye zindagi hai na jane kis mod pe akela chhod jayegi

No comments:

Post a Comment