Friday, June 19, 2015

 Kyun Duniya Ne Ye Rasm Banai Hai
Karke Itna Bada Kehte Hai Ja Beti Tu Parai Hai
Pehle Din Se Hi Usko Ye Paath Padhaya Jata Hai
Saja Ke Lal Jodhe Main Dulhan Banaya Jata Hai
Chuda Deti Hai Beti Se Baabul Ka Ye Ghar
Kyun Duniya Ne Ye Zalim Rasm Banai Hai
Karke Itna Bada Kehte Hai Ja Beti Tu Parai Hai

Rote Hai Khud Phir Usko Bhi Bahut Rulate Hai
Apne Haathon Se Darwaje Tak Chod Aate Hai
Har Din Yaad Karte Hai Bahut Yaad Aate Hai
Iss Rasm Ne Kyun Beti Se Hi Ki Bewafai Hai
Karke Itna Bada Kehte Hai Jaa Beti Tu Parai Hai

Saath Beti Ke Phir Bahut Dahej Bhi Jaayega
Saayad Phir Bhi Na Bhoj Ye Sar Se Utar Paayega
Royegi Maa, Jaate Dekh Baabul Na Sambhal Paayega
Deke Judai Beti Ko Kyun Is Rasm Ne Saja Sunai Hai
Karke Itna Bada Kehte Hai Ja Beti Tu Parai Hai



 Jisko Khabar Thi Usko Kadar Nahin
Jiski Kadar Karte The Usko Khabar Nahin

Is Dunia Me Jeena Hai To Jalna Hi Hai
Lekin Jisko Jalna Hai Uske Liye Kabar Nahin

Shayad Mere Hi Kehne Me Koi Kami Si Thi
Itna Jataya Phir Bhi Usko Aashar Nahin

“Laachar” Ki Ye Jeed Thi Ke Umr Dhalne Se Pahle Aao
Lekin Kya Maloom Maut Tak Ko Sabar Nahina

No comments:

Post a Comment