Saturday, September 5, 2015


Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain So Uske Shaher Mein Kuch Din Thaher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Usko Bhi Hai SherOShairi Se Sharaf So Hum Bhi Mozize Apne Hunar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Bole To Baton Se Phool Jhadte Hain Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Din Ko Use Titliyan Satati Hain Suna Hai Raat Kozugnu Thaher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Hasr Hain Uski Ghzaal Si Aankhein Suna Hai Usko Hiran Dast Bhar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Us K Laboon Say Gulaab Jaltay Hain, So Hum Bahaar Pay Ilzaam Dher K Dekhtay Hain

Suna Hai Us K Badan Kee Taraash Asi Hai, Ki Phool Apni Qabaaeein Quter K Dekhtay Hain

Rokay To Gerdeshain Us Ka Tawaaf Kertee Hain, Chalay To Us Ko Zamanay Thaher K Dekhtay Hain

Mubalgein Hi Sahi Sab Kahaniyan Hi Sahi Agar Woh Khawab Hai Tabeer Kar Ke Dekhte Hain

Ab Us K Shaher May Thahray K Koooch Ker Jaaeein, Faraaz Aaoo Sitaray Safer K Dekhtay Hain….! 

No comments:

Post a Comment