Sunday, February 1, 2015

Roz taaro ko numaish me khalal padta hai
chaand pagal hai andhere me nikal padta hai

uski yaad aai hai sanso zara aahista chalo
dhadkano se bhi ibaadat me khalal padta hai



ye hadsa to kisi din guzarne wala tha
me bhach bhi jata to ek roz marne wala tha

mera naseeb mere haath kat gaye
warna me teri maang me sindoor bharne wala tha



Tufano se aankh milao, sailabo pe waar karo
mallaho ka chakkar chodo tair ke dariya paar karo

phulo ki dukane kholo khushbu ka wyopaar karo
ishq khata he to ye khata ek baar nahi sau bar karo



jaa ke ye koi keh de koi sholo se chingari se
phool is baar khile badi tyaari se

badshaho se bhi feke hue sikke na liye
hamne khairaat bhi mangi hai to khuddari se

No comments:

Post a Comment