Tuesday, February 10, 2015

jinko berang kehati hai yeh duniya,hum to unhi
rango me rang mila tasveer bana diya karte hai

jin sharab ke paimano ko bewafa naam dete hai log
usi paimane me hum mohabbat mila piya karte hai

darate nahi hum inn sitamgaro se, hum woh hai
jo Subah-shaam ibaadat-e-khuda kiya karte hai

Shayar hai hum jara hat ke janab ,hum to chand
lafzo ko mila ke hi geet bana liya karte hai

I cried……

Kabhi Aanso Chupa Chupa Ke Rooey,
Kabhi Dastan-E-Gum Suna Ke Rooey,

Raat Katti Hai Intezar-E-Yaar Main,
Hum Raat Bhar Taroon Ko Jaga Jaga Ke Rooey,

Phir Woh Na Aay Raat Ka Wada Kar Ke,
Hum Tamaam Raat Shama Jala Jala Ke Rooey,

Aaj Raat Un k Aaney Ki Umeed The Humain,
Woh Na Aay Hum Ghar Ko Saja Saja Ke Rooey,

Suna Hai Dua Se Hoti Hai Muraad Dil Ki Poori,
Hum Sari Raat Haath Utha Utha Ke Rooey…!!

No comments:

Post a Comment