Friday, May 29, 2015

Har ghadi khud se ulajhna hai muqaddar mera,
Main hi kashti hu muji me hai samandar mera,
Kisse puchhu ki kaha gum hu barson se,
Har jaga dhundhti phirta hai muje ghar mera,
Ek se ho gaye mausamo ke chehare sare,
Meri aankho se kahi kho gaya manzar mera,
Muddate biit gayi khwab suhana dekhe,
Jagta rahta hai har nind me bistar mera,
Aaina dekh ke nikli thi main ghar se bahar,
Aaj tak hath me mahfuz hai patthar mera.....      

No comments:

Post a Comment