Thursday, March 31, 2016

Thokar
Shaam suraj ko dhalna sikhaati hai.
Shama parwaane ko jalna sikhaati hai
Girne waale ko takleef to hoti hai magar
Thokar hi insaan ko chalna sikhaati hai.

Galtiyan Maaf Karne Wale
Phool kabhi dobara nahi khilte
Janam kabhi dobara nahin milte
Milte hain log hajaron par
Hazaron galtiyan maaf karne wale Maa-Baap
Dobara nahi milte...

Zindagi Bhar...
Zindagi bhar dard se jeete rahe,
Dariya paas tha aansuon ko peete rahe,
Kai baar socha keh doon haal-e-dil use,
Par na jaane kyun hum hothon ko seete rahe.

Har Sapna
Har sapna khushi pane se pura nahi hota,
Koi kisi k bina adhora nahi hota.
Jo chand roshan karta hai rat bhar sab ko,
Har raat woh bhi to poora nahi hota

Jahan Yaad Na Aaye Teri
Jahan yaad na aaye teri,
Woh tanhaai kis kaam ki.
Bigde rishte na bane,
To khudaai kis kaam ki.
Beshak apni manzil tak jana hai hamein,
Lekin jahaan se apne na dikhein,
Woh oonchaai kis kaam ki!

Ek Dua Khuda Se
Yeh bhi ek dua hai khuda se,
Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se,
Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe,
Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se.

Utha Hua Har Hath
Utha hua har hath dua ke liye nahi hota,
Jhuka hua har parda hawa ke liye nahi hota,
Apni galtiyon se bhi chirag bhuj jate hai aksar,
Kasoor hawa ka har baar nahi hota...

Dukaan Ki Tarah
Ab ho gaya hai aadmi ,
Bikta hai jahaan pyaar bhi saamaan ki tarah,
Pehchaan bhi hai mushkil mukhauton ke daur mein
Dikhta hai bhediya bhi insaan ki tarah!!

Zindagi Ki Uljhanein
Zindagi ki uljhanon ne hamaari sharaaratein kam di,
Aur log samajhne lage ki hum samajhdaar ho gaye.

No comments:

Post a Comment