Sunday, September 28, 2014

Aansuon ke jahan payamali rahi
aisi basti charagon se khali rahi
dushmanon ke tarah us se ladate rahe
apani chahat bhi kitni nirali rahi
jab kabhi bhi tumhara khayal aa gaya
phir kai roz tak bekhayali rahi
lab tarasate rahe ik hansi ke liye
meri kashti musafir se khali rahi
chand tare sabhi ham-safar the magar
zindagi raat thi raat kali rahi
mere sine pe khushbu ne sar rakh diya
meri banhon mein pulon ke dali rahi.



Naseeb Mein Tha, Maa Ki Mamta Ki Daolath
Tukhra Diya Tha Maine Us Daolath Ko
Aaj Us Daulat Ki Qimat Maloom Padi
Per
Bouth Der Ho Chuki
Sab Apni Maa Se Gale Miltey Hain
Kushi Kushi Se
Use Dekhti Hi Reh Jathi Hoon Mai
Aankon Mein Aanso Bharey…
Dil Tadap Uttha Hai
Aur Mujse Kehta Hai
Lo Tuje Yehi Saza Hai…

No comments:

Post a Comment