Monday, September 29, 2014

Dhup Hu Saya-E-Didar Se Dar Jata Hu
Tujse Milta Hu To Kuch Aur Bikhar Jata Hu


Sahilo Pe Muje Aawaz Na Dena Koi
Aag Jis Sikt Lagi Ho Main Udhar Jata Hu


Tu Nahi Hai To Khyalo Ke Ajab Mosum Hai
Jane Kis Soch Main Chlta Hu Thahar Jata Hu


Aasma, Rang, Samndar Hai Taakub* Main Mere
Pyas Lagti Hai To Sahra Main Utar Jata Hu


Ruh Jalti Hai Bahut, Jism Pighlta Hai Bahut
Aur Main Sahar Ke Jangal Se Gujar Jata Hu


Kiski Aankho Ne Mere Aks Pahan Rakhe Hai
Khud Se Milna Ho To Us Shaksh Ke Ghar Jata Hu

No comments:

Post a Comment