Saturday, September 27, 2014

 Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
Tishnagi K Azaab Rehnay Do
Ponch Dalo Na Aankh Se Kaajal
Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehnay Do
Tum Sanwaro Apni In Zulfon Ko
Meri Halat Kharab Rehnay Do
Chaand Badal Main Acha Lagta Hai
Adhay Rukh Pe Naqab Rehnay Do
Un K Chehry Ki Baat Ho Jaye
Aaj Zikr-e-Gulab Rehnay Do
Un Ki Chokhat Ko Choom Lo “Mohsin”
Baki Saray Sawaab Rehnay Do



Woh shakhs jis ko samajhney mein mujh ko umar lagi,
Bicharr ke mujh se kissi kaa ho na saka hoga..


Jab Khamosh Aankho Se Baat Hoti Hai,
Aise Hi Mohabbat Ki Suruwat Hoti Hai,
Tumhare Hi Khayalo Mein Khoye Rehte Hain,
Pata Nahi Kab Din Kab Raat Hoti Hai....

No comments:

Post a Comment