Sunday, September 28, 2014

Sun Sako To Ek Kahani Hu Mein,
Rakh Sako To Ek Nishani Hu Mein,
Pa Sako To Ek Saya Hu Mein,
Rok Na Payi Jise Sari Dunia,
Wo Ek Boond Aankho Ka Pani Hu Mein


: Kuch Is Tarah Se Woh Muskrate Hai
Ki Pareshaan Log Unhe Dekh Khush Ho Jaate Hai
Unki Baaton Ka Aji Kya Kehiye
Alfaaz Phool Bankar Hothon Se Nikal Aate Hai



 Is Raat Ki Tanhayeoon Ke
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hain Wesay Hi
Andharay Badal Gaye Hain
Jin Ke Bharoosay Thi Khushiyan
Woh Badal Thahar Gaye Hain
Manzalain Tu Ab Bhi Wohi Hain
Kuch Rastay Badal Gaye Hain
Jin Pe Kiua Tha Bharosa Hum Nay
Woh Dost Bichar Gaye Hain
Dekhay Thay Hum Nay Jo
Woh Khuwab Badal Gaye Hain
Jo Baney Thay Kabhi Humsafar
Aaj Woh Hi Mukkar Gaye Hain
Iss Tutay Huwey Dil Ke Sarey
Jazbat Badal Gaye Hain
Na Badlay Kabhi Hum
Na Badlay Hamarey Khayalat
Bas Rona Hain Yehi
Kuch Log Badal Gaye Hain


No comments:

Post a Comment