Saturday, April 25, 2015

Shaher se lautkar jab main apnay gaon mein aa gaya
Youn laga ki chilchilati dhoop se chhaon mein aa gaya

Aur mere halat se mere mayaar ka andaza mat laga
main sir ka taj tha kabhi jo ab paaon mein aa gaya

Kabhi mohtaj tha main bhi dariya ki maujon ka Bahut
Waqt badla toh dariya khud meri naaon mein aa gaya

Sach cha Sach bolta tha mai toh koi pehchan na thi
Jhootha sach boltey he sabki nigahon mein aa gaya

No comments:

Post a Comment