Wednesday, April 29, 2015

“Nazar me shokhiyan , lab me muhabbat ka tarana hai…
Meri ummeed ki zad me abhi sara zamana hai…
Kai jeetein hain dil ke desh,par maloom hai mujhko…
Shikandar hun mujhe ek roj khali haath jana hai…”

“Is deewanepan ki law me, dharti amber chhuth gaya…
Aankho me jo lehra tha,wo anchal pal bhar,chhuth gaya…
Toot gayi bansuri aur hum bane dwarika-dheesh magar…
Apne gokul bisar gaya aur gaon gali ghar chhuth gaya….”

“Sab apne dil ke raja hain, sabki apni rani hai…
Kabhi prakashit ho na ho, par sabki ek kahani hai,
Bahut saral hai pata lagana,kisne kitna dard saha…
Jiski jitni ankhein hase hai, utni peer purani hai…”

“Ibarat su gunahon tak ki manjil me hai hungama…
Jara si pi ke aaye bas to mehfil me hai hungama..
Kabhi bachpan,jawani aur budhape me hai hungama…
Jehun me hai kabhi to phir kabhi dil me hai hungama…”

Jab aata hai jeevan me, khayalaton ka hungama..
Ye jazbaaton,mulakaton, haseen raton ka hungama,
Jawani ki kayamat daur me ye sochte hain sab..
Ye hungama ki raatein hai,ya hai raaton ka hungama.

Abhi chalta hun, raste ko main manjil man lu kaise….
Maseeha dil ko apni jid ka katil man lu kaise…
Tumhari yaad ke aadim-andhere mujhko ghere hain…
Tumhare bin jo beete din,unhe din maan lu kaise.

Bataun kya, mujhe aise saharon ne sataya hai..
Nadi to kuch nhi boli…Kinaron ne sataya hai..
Sada hi shul meri raah se khud hut gaye lekin…
Mujhe to har ghadi har pal,baharon ne sataya hai.

Hamein malum hai do dil judayi seh nhi sakte…
Magar rasme wafa ye hai,ki ye bhi keh nhi sakte…
Jara kuch der tum un sahilon ki cheekh sun bhar lo.
Jo lehro me to dubein hai,magar sang beh nhi sakte…

Tumhare paas hun lekin jo duri hai samajhta hun…
Tumhare bin meri hasti adhuri hai, samajhta hun…
Tumhein main bhul jaaunga, ye mumkin hai nhi lekin…
Tumhi ko bhulna, sabse jaruri hai samajhta hun

Kabhi koi jo khulkar has liye do pal to hungama,
Koi khwabon me aakar bas liya do pal to hungama…
Main usse dur tha to shor tha sajish hai, sajish hai…
Use bahon me khulkar kas liya do pal to hungama.


No comments:

Post a Comment