Dayar-e-ghair me kaise tujhe sada dete
Tu mil bhi jata to aakhir tujhe ganwa dete
Tumhi ne hamko sunaya na apna dukh warna
Dua wo karte ke ham aasma hila dete
Hame ye zom raha abki wo pukarenge
Unhe ye zidd thi ki har bar ham sada dete
Tumhe bhulana hi awwal to dastaras me nahi
Jo akhtiyar bhi hota to kya bhula dete
Tumhari yad ne koi jawab hi na diya
Mere khyal k ansu rahe sada dete
Sama'ato ko mai ta umr kosta sayed
WO kuch na kahte magar hont to hila dete...

No comments:
Post a Comment