Monday, September 1, 2014

 Apni khaamosh zindagi mein bulana mujhko,
Apni haseen khwaab ki tasveer banana mujhko,
Main jo poochon tumhaara haal-e-dil,
Toh apni har dhadkan ki aawaaz sunaana mujhko...


 Woh hame chod ke chale jaye aisa dar lagta hai,
Dooriyan bewafai na ban jaye ye dar lagta hai,
Khuda ki kasam ham toh bas aapke hain,
Par aapki bewafai mein mar na jaye ye dar lagta hai...



 Dosti toh ek azmaaish hoti hai,
Dilon ko milane ki ek khwaish hoti hai,
Yaad nahi karte hum aapko,
Kyunki yaad unhein kiya jaata hai,
Jinhe bhulane ki gunjaish hoti hai!


 Apne asman se meri zameen dekh lo,
Tum khwab aaj koi hasindekh lo,
Aazmana hai agar aitbar ko mere,
To ek jhoot tum bolo or mera yakeen daikh lo.


No comments:

Post a Comment