Sunday, September 14, 2014

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi

Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi….



 Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey
Aansuon sey dil k koney nam naheen hote

Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee
Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote

Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee
Band kamron men koyee mausam naheen hote

Jab khushee hai naachtee gaatee hai man kee har kalee
Un gharon men kyaa kabhee maatam naheen hote

Pyaar sab miltaa jinhen ranjish naheen koyee kabhee
Kyaa kabhee aise dilon men gham naheen hote

Yaad to karte hain unko ham sadaa hee raat din
Khwaab men unke kabhee kyaa ham naheen hote



Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay…..
Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay…

Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko…..
Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay…..

Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou…
Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay……

Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa…
Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi kartay


No comments:

Post a Comment