Thursday, April 9, 2015

Kaun kambaqt bardasht karne ke liye peeta hai
Kaun kambaqt bardasht karne ke liye peeta hai
Asoka ke liye maine Filmfare Award nahi jeeta hai

Tawaaif ke taqdeer mein shohar nahin hote
Tawaaif ke taqdeer mein shohar nahin hote
Jo achchi film banate hai woh Karan Johar nahin hote

Suna chunni babu, ab humein tawaaif ishq ki baatein seekhayegi
Suna chunni babu, ab humein tawaaif ishq ki baatein seekhayegi
Aditya Chopra kya kam tha, jo ab yeh humein pakaayegi

Thakurain, tawaaif ki toh taqdeer nahin hoti
Thakurain, tawaaif ki toh taqdeer nahin hoti
Is liye we never invest money in LIC jeevan jyoti

Silsila yeh chaahat ka na maine bujhne diya
Silsila yeh chaahat ka na maine bujhne diya
Bade Miya Bade Miya Chotte Miya toh Chhote Miya

Sheeshe se sheesha takraye jo bhi ho anjaam
Sheeshe se sheesha takraye jo bhi ho anjaam
Shriram Jairam Jai jai Ram
Dola Re Dola Re Dole re Dola Dola Re Dola Re
Dole re Dola Wait a minute, chakkar aa raha hai!

Humpe yeh kisne haraa rang daala
Humpe yeh kisne haraa rang daala
Chill yaar... Holi hai

Tut jaate hai kabhi gaherein rishtey bhi,
Gair ban jaate hai pal bhar mein apne bhi.

Ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye,
Subha hone ko hai mauhol banaye rakhiye,
Kaun jane wo kis gali se guzre,
Har gali ko phoolo se sajaye rakhiye!

Dava bhi kam na aaye,
Dua bhi kam na aaye.
Bas dost teri muskurahat kam aaye!

Yeh mat pucho tum bin hum kya kya khote rahe,
Tumhari yaadon mein hum roz kitne rote rahe,
Na din gujre hai na raatein,
Bas kuch bechain se hum hote rahe!

Dekha unhone hume jab apni tirchi nazron se
Hum to madhosh hi ho gaye,
Jab pata chala ke nazrein hi tirchi hai,
Hum to behosh hi ho gaye!

Ar karz dosti ka ada kaun karega,
Jab hum hi nahi rahenge to dosti kaun karega,
Aye khuda mere dosto ko salamat rakhna,
Varna mere jeene ki dua kaun karega!


No comments:

Post a Comment