Very nice poetry
Read it slowly. ...
Ahista chal zindagi, abhi kai karz chukana baaki hai.
Kuch dard mitana baaki hai, kuch farz nibhana baaki hai.
Raftaar mein tere chalne se kuchh rooth gaye, kuch chhut gaye.
Roothon ko manana baaki hai, roton ko hasana baki hai.
Kuch hasraatein abhi adhuri hain, kuch kaam bhi aur zaruri hai.
Khwahishen jo ghut gayi is dil mein, unko dafnana baki hai.
Kuch rishte ban kar toot gaye, kuch judte-judte chhut gaye.
Un tootte-chhutte rishton ke zakhmon ko mitana baki hai.
Tu aage chal main aata hoon, kya chhod tujhe ji paunga?
In saanson par haqq hai jinka, unko samjhaana baaki hai.
Aahista chal zindagi, abhi kai karz chukana baki hai...
๐ถ๐ถ๐ถ๐ถ

No comments:
Post a Comment