Sunday, December 27, 2015

Beti se ma ka safar

Beti s ma ka safar
Befikri se fikar ka safar
Rone se chup karane ka safar
Utsuktta se sayam ka safar

Pehle joh anchal meh chup jaya karti thi
Aaj kisi ko anachal meh chupa leti h
Pehle joh ungli p garam lagne se ghar ko uthaya karti thi
Aaj hath jal jane par bhi khana banaya karti h

Choti choti baton p ro jaya karti thi
Badi badi baton ko man meh rakha karti h
Pehle Doston se lad liya karti thi
Aaj unse baat karne ko taras jati h

Ma keh kar pure ghar meh uchla karti thi
Ma sunke dhire se muskuraya karti h

10 baje uthne p bhi jaldi uth jana hota tha
Aaj 7 baje uthne p bhi late hojata h

Khud k shauk pure karte karte hi saaal gujar jata tha
Aaj khud k liye ek kapda lene meh alas aajata h

Pure din free hoke bhi busie bataya karte thhe
Ab pure din kaam karke bhi free kehlaya karte h

Saal ki ek exam k liye pure saal padha karte thhe
Ab Har din bina tayari k exam diya karte hai..

Na jane kab kisi ki beti se kisi ki ma ban jaaye,
Kab beti se ma ke safar meh tabdil ho jaye..


 बेटियाँ सब के नसीब में कहाँ होती है, रब को जो घर पसंद आए वहाँ होती है
"पराया धन होकर भी कभी पराई नही होती। शायद इसीलिए....किसी बाप से... हंसकर बेटी की, विदाई नही होती।।

No comments:

Post a Comment