Apne Markaz Se Agar Door Nikal Jaoge.
Khowaab Ho Jaoge, Afsano Mein Dhal Jaoge.
Ab To Chehron Ke Khad-O-Khal Bhi Pehle Se Nahin.
Kis Ko Maloom Tha Tum Itne Badal Jaoge.
Apne Parcham Ka Kahin Rang Bhula Mat Dena.
Surkh Sholon Se Jo Kheloge To Jal Jaoge.
De Rahe Hain Tumhain To Log Rafaqat Ka Fareb.
In Ki Tareekh Parhoge To Dehal Jaoge.
Apni Mitti Pe Hi Chalne Ka Saleeqa Seekho.
Sang-E-Mar Mar Pe Chaloge To Phisal Jaoge.
Khwabgahon Se Nikalte Huye Darte Kyun Ho.
Dhoop Itni To Nahin Hai Ke Pighal Jaoge.
Taiz Qadmon Se Chalo Aur Tasadam Se Bacho.
Bheer Mein Sust Chaloge To Kuchal Jaoge.
Humsafar Dhoondo Na Rahbar Ka Sahara Chaho.
Thhokarain Khaoge To Khud Hi Sambhal Jaoge.
Tum Ho Ek Zinda Jawed Riwayat Ke Chiraagh
Tum Koi Shaam Ka Suraj Ho Ke Dhal Jaoge.
Subah Sadiq Mujhe Matloob Hai Kis Se Mangun.
Tum To Bholay Ho, Chraghon Se Behal Jaoge...!!

No comments:
Post a Comment