Yeh mojaza bhi mohabbat kabhi dekhaye mujhye
K sang tuj pe gere aur zakhm aye mujhye
Woh mera dost hay sarey jahan ko hay maloom
Daga kare woh kisi se to sharm aye mujhye
Woh mahrbaan hay to ikraar kyun naheen karta
Woh badguman hay to so bar aazmaye mujhye
Wohi to sab se zeyada hay nukta chin mera
Jo muskara k hamesha galey lagaye mujhye
Berang uud mile gi use meri khushbo
Woh jab bhi chayey bare shoq se jalaey mujhye
Main apni zaat main nilam ho raha houn "Qateel "
Gham hayat se kah do khareed laye mujhye

No comments:
Post a Comment