Tuesday, November 25, 2014

 Khule aasma me zamin ki baat na karo..
Jee lo zindagi, khushi ki aas na karo..
Takdir badal jayegi apne aap hi..
Muskurana sikh lo, wajah ki talash na karo. . .!



 kabhi dhoop kabhi chahon ke mailey hein
kabhi bay maqsaad parwazein hein
kabhi char samat aawazein hein
kabhi tanhai sii kaily hein
kabhi sannatey bhi jailey hein
kabhi teri mithii yadon kay sang
kabhi dunya kay beich akaily hein



 Kabhi Jo Khuwab Banay Kajal, Phel Ankhon May Jaye To
Usay Roya Nahi Kartay, Woh Khuwab Tora Nahi Kartay
Koi Manzil Say Bhatak Jaye, Uskay Sath Chaltay Hain
Usay Khonay Nahi Detay, Usay Tanha nahi Kartay



 Zindagi kya hai?
Allama iqbal nay kaha zindagi aik safar hai.
Phool nay kaha zindagi khushbu ka naam hai.
Kantay nay kaha zindagi chubhan ka naam hai.
Barsaat nay kaha zindagi barasnay ka naam hai.
Chand nay kaha zindagi chandni ka naam hai.
Taqdeer nay kaha zindagi thokar ka naam hai.
Khud zindagi nay kaha zindagi mout hai.



: Har ek Muskurahat Muskaan nahi hoti nafrat ho ya mohabat Aasan nahi hoti Aansoo gham ke aur Khushi ke ek jaise hote hai inki pehchan Aasan Nahi hoti!

No comments:

Post a Comment