Friday, November 14, 2014

Ek hi color ka dress pehen kar hum lagte they kitne achay,

School lagta tha poultry farm aur hum sab murghi k bachay,

Mujhko samaj na aya aaj tak teacher ka ye funda,

Hume bana deti thi murgha or khud copy pe deti thi anda.

Jab bachpan tha ,
to jawani ek dream thi
Jab jawan huye ,
to bachpan ek jamaana tha.

jab ghar me rehte the,
aazadi achi lagti thi ..
aaj aazadi he ,fir bhi
ghar jaane ki jaldi rahti hai

kabhi hotel me jana ,
pizza, burger khana pasand tha ..
aaj ghar par aana aur maa
ke hath ka khana pasand hai

School me jinke saath
zagadte the ,
aaj unko hi Internet pe
talashte hai..

khushi kisme hoti hai,
ye pata ab chala hai...
bachpan kya tha,
iska ehsas ab hua hai..

kash badal sakte hum
zindgi k kuch saal ..
kash ji sakte hum,
zindgi fir se ek baar.....๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š

Happy Children's Day..

No comments:

Post a Comment