Sunday, March 15, 2015

 Ek pahchan hajaro Dost bana deti hain,
Ek muskaan hajaro gum bhula deti hain
Zindagi ke safar me sambhal kar chalna




 Zindagi ki uljhanon ne hamaari sharaaratein kam ki
Aur log samajhne lage ki hum samajhdaar ho gaye.




 Thikana kabra hai to
Ibaadat kar musafir
Kehte hain khaali haath
Kisi ke ghar jaaya nahi karte



: Wo khud ko phool aur hum ko patthar keh kar muskuraya karte hain,
Un ko kya khabar patthar to patthar rehtt hain phool hi murjhaya kartt hain.



 Har ek rooh ki saanson pe wazan dekh raha hoon,
Main har ek sakhs ke haathon mein kafan dekh raha hoon.
Arre logon khuda hone ka dava na karo,
Main to insaan mein aadam ko bhi kam dekh raha hoon.
Yeh hawaon mein zahar aur yeh bimaar fiza,
Kal ko jo hona hai Anzaam-e-Chaman dekh raha hoon.
Yeh khuda ke liye Qatl-e-Khudai chhoro,
Nasl-e-Aadam mein tabahi ka chalan dekh raha hoon.
Roshni walon andheron mein bhi jeena seekho,
Mein aaftaab ke kadmon mein thakan dekh raha hoon.


No comments:

Post a Comment