Tu aik waqt tha jisko bhulaa dia maine
har aik yaad ka gulshan jala dia maine
wo pyaar jiske qasiide kayi likhe the kabhi
kitab-e-dil se wo unwaan mita dia maine
thi apni manzil e hasrat jo aik mohabat ki
usse mazaar ka manzar bana dia maine
na tumse koi gilaa hai na ab shikaayat hai
tumhari raah se khudko hataa dia maine
nazar mila ke jo dekhoge jaan jaaoge
ke kaise tum ko nazar se giraa dia maine
meri wafaa ka janaza tha is qadar ghamgeen
ke pathharon ko bhi gham se rula dia maine
Kaash tum vaade apne nibha jaate,
kissi surat dil mera behla jaate,
kyon maikhane jaa kar hum shraab uthate,
agar tum aankho se apni pila jaate.

No comments:
Post a Comment