Friday, December 26, 2014

 Hasee aur khushi mein aakhir farkk kya aur kaisaa hota hai ??

Martey apney ko dekh zindaa..insaan hastaa nahi khushi mein kyun rotaa hai??

Bawandarr machaa hai aaisey kayee sawaalo ka mujhmein

Ke badan to sota jagtaa par mann kabhi nahi sotaa hai




 Khatir khushi ke..mahsoosh auro ki kyun zaroorat hoti hai??

Mil bhi jaye gar aise wo..to kyun wo thodi badshoorat hoti hai??

Poonchtaa rahaa hu sawaal sabse par maunn hai sab

Anaand mayee khushi ki aakhir soorat kaisi hoti hai??



 Main dekhtaa hu kisiko ya koi mujhe dikhtaa hai??

Insaan kis tarah sapno mein hi duniya apni rachtaa hai??

Mann bawlaa chanchal kisi bachhey ki tarah

Kabhi iss jahaan to kabhi uss jahaan..kyun rahtaa firtaa hai??



 Janam maran ke iss khel ko paar paa sakaa hai jo

Khuda ko khud mein hi sachee taur par paa sakaa hai wo

Sukhh dukhh jiskaa nirbhar prakreeti ke bhautikk nirmaano par

"Uski" banaayi iss bhulbhulayiyaa mein bas uljhaa huaa hai "wo"

No comments:

Post a Comment