Sunday, December 21, 2014

Tera khayaal bohat der tak naheen rehta
Koi malaal bohat der tak naheen rehta
Udaas karti hai aksar tumhaari yaad mujhe
Magar yeh haal bohat der tak naheen rehta
Main rezaa rezaa to hoti hoon har shikast ke baad
Magar nedhaal bohat der tak naheen rehti
Main jaanti hoon, sooraj hoon doob jaauun bhi to
Mujhe zawaal bohat der tak naheen rehta



 Chehre Pe Khushi Hai Toh Kya Hua
Dil Me Sab Se Chupa Kar Dard Jo Muskura Diye
Uski Hansi Ne Toh Aaj Mujhe Rula Diya
Lehje Se Uth Rahi Thi Ek Dard Ka Dhuwaa
Chehre Bata Raha Tha Ki Kuch Ganwa Diya
Aawaz Me Tehrao Tha Aankhoun Me Nami Thi
Aur Keh Rahi Thi Ki Mein Ne Sab Kuch Bhula Diya
Jaane Kyun Usko Logoun Se Thi Shikayatein
Tanhaiyoun Ke Des Me Qud Ko Basaa Diya.

No comments:

Post a Comment