Monday, December 15, 2014

Ye Jo Chehre Se Tumhen Lagte Hain Beemar Se Hum
Khoob Roye Hain Lipat Kar Dar-O-Deewar Se Hum

Yaar Ki Aankh Main Nafrat Ne Hamain Qatl Kiya
Koan Kehta Hai Cuttey Yaar Ki Talwaar Se Hum

Apne Bikne Ka Bahut Dukh Hai Humain Bhi Lekin
Muskurate Hue Milte Hain Khariddaar Se Hum

Sang Aate The Bahut Chaaron Taraf Se Ghar Me
Isliye Darte Hain Ab Shaakh-E-Samardaar Se Hum

Ranj Har Rang K Jholi Main Bhare Hain Hum Ne
Jab Bhi Guzre Hain Kisi Dard K Bazaar Se Hum

Saaybaan Ho Tera Aanchal Ho Ki Chatt Ho Lekin
Bach Nahi Sakte Hain Ruswayi Ki Bauchaar Se Hum

Ishq Main Hukm Udooli Bhi Hamain Ati Hai
Talne Wale To Nahi Hain Tere Inkaar Se Hum

Shaakh-E-Samardaar- Fruit bearing branch (of the tree) ; Hukm Udooli- disobedience of the order.

No comments:

Post a Comment